kyon kaha tha wafa-shi'ar mujhe ab hai apna hi intizar mujhe mil gae itne gham-gusar mujhe das rahi hai bhari bahaar mujhe hai khirad se bhi apna yarana hai junun par bhi ikhtiyar mujhe be-khudi tu hi dast-giri kar zindagi kar rahi hai khwar mujhe sare tufan ho chuke paspa ab to dariya se par utar mujhe main hun ‘irfan-e-zat ka shahkar kyon kisi par ho inhisar mujhe sar-bulandi mere khamir mein hai main tera naqsh hun ubhaar mujhe apne bandon se jis ko pyar nahin aisi duniya se kyon hai pyar mujhe main jo tauba karun gunahon se sab kahenge gunahgar mujhe baat anokhi sahi magar 'sahir' dard hi mein mila qarar mujhe