aap-biti ho wo ya koi kahani kahiye baat jo kahiye wo urdu ki zabani kahiye koi dildar to milta hi nahin hai kis se dard-e-dil dard-e-jigar soz-e-nihani kahiye aadmi aadmi ke khun ka pyasa hai yahan aaj-kal khun ko bahta hua pani kahiye desh ki sari zabanon ki zaban hai urdu is ko yak-jehti-e-qaumi ki nishani kahiye garm bazar hai ab nafrat o be-zari ka jins-e-tahzib-o-sharafat ki girani kahiye zulf-o-rukhsar-o-khat-o-khal-o-lab-e-jaanan ki baat kahiye to ghazal hi ki zabani kahiye waqt kahta hai ki nafrat ke parastaron se ulfat-o-mahr-o-mohabbat ki kahani kahiye chand se badh ke watan ki ye zamin hai us ko khushnuma kahiye hasin kahiye suhani kahiye sher ban kar jo nikalte hain mere dil se 'nazar' apne jazbaat ghazal hi ki zabani kahiye