ab jo tum se nahin mil pae to mushkil hogi fasl-e-gul yunhi guzar jae to mushkil hogi jis ko mar mar ke bhulaya tha badi mushkil se phir kahin yaad wo aa jae to mushkil hogi phir wo purwai chali ai mere dil khair nahin phir koi chot ubhar aae to mushkil hogi main nahin dekhti is dar se kisi ki jaanib aankh se dil mein sama jae to mushkil hogi zulmat-e-yas koi kam nahin aur us pe agar sham ke gahre hue sae to mushkil hogi nikle jate hain mere dil ke sab arman 'nazar' ghar jo viran ye ho jae to mushkil hogi