milne mein mujh ko aap se kya ijtinab tha par kya karen ki shahr ka mausam kharab tha jab ja chuke tamam hi rishton ke qafile main tha tumhaari yaad ka taza gulab tha sab log aa ke apni kahani suna gae main kuchh na kah saka mujhe kitna hijab tha duniya ke sare raaz se waqif to tha magar wo padh saka na mujh ko main aisi kitab tha mutthi mein us ki band thin meri zaruraten main tha mahaz sawal wo mera jawab tha main ne kahin 'nasim' ko dekha tha rah mein chehra tha us ka zard to huliya kharab tha