aap hain kya malak-sifat aap hain kya pata nahin hum to gunahgar hain hum koi parsa nahin zindagi aadmi ki jab halqa-e-khair-o-shar mein hai kaise kahen ye aap se hum se hui khata nahin wo to har ek shai mein hai ghaur se dekhiye agar kis ki majal hai yahan jo ye kahe khuda nahin ki hain basiraten ata ilm diya hunar diya kya ye hamare haal pe rahmat-e-kibriya nahin us ne kiya khusha mujhe daulat-e-faqr se ghani ab koi aarzu nahin ab koi muddaa nahin khaliq-e-be-niyaz ka hum se na haq ada hua haq hai ki hum se be-khabar wo to kabhi hua nahin jo bhi hamare pas tha us pe nisar kar diya nazr karen to kya karen kuchh bhi to ab bacha nahin neamaten be-hisab din us ne har ek shakhs ko rahmat-e-kirdgar ki had nahin intiha nahin apne hon ya parae hon sab hi hamare sath hain aaj khuda ka shukr hai hum se koi khafa nahin dekhen agar qarib se kam nahin wo habib se shakl se wo bura sahi 'yas' magar bura nahin