kabhi rauzanon se pukarna kabhi dar ke chaak se dekhna

kabhi rauzanon se pukarna kabhi dar ke chaak se dekhna
sar-e-bazm us ka kabhi mujhe bade inhimak se dekhna

agar us ke husn-o-jamal ka chhide tazkira kabhi bazm mein
to phir us ke rukh pe hijab ke kai rang pak se dekhna

ye mera usul ghalat sahi meri zindagi ki asas hai
ki jise bhi dekhna dosto nazar-e-tapak se dekhna

meri tarah laut ke aae jab hai yahi nasib-e-bahaar bhi
gul-o-barg farsh pe muntashir to shajar halak se dekhna

kabhi husn-e-paikar-e-zist par jo nazar pade zahe tajziya
to phir aainon mein kuchh aks bhi bade sharmnak se dekhna

hai dua ki quwwat-e-sabr taqat-e-zabt juzw-e-hayat ho
yahan waqiat qadam qadam hain jo khaufnak se dekhna

gul-e-nam se paikar-e-zist mein hamein muntaqil jo kiya gaya
to sabhi manazir-e-zindagi hain nigah-e-khak se dekhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close