aap jate hain to viran paDe rahte hain

aap jate hain to viran pade rahte hain
der tak hum yunhi be-jaan pade rahte hain

ek taraf zulm ka bazar saja rahta hai
ek taraf munsif-o-mizan pade rahte hain

ajnabiyyat hai ki badhti hi chali jati hai
apne ghar aa ke bhi mehman pade rahte hain

raat har pal hamein maslub kiye rakhti hai
sab samajhte hain ki aasan pade rahte hain

har ghadi ek adalat si lagi rahti hai
har ghadi hum pas-e-zindan pade rahte hain

log phunkon se dara kar use khush hote hain
jis ke qadmon tale tufan pade rahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close