main ba-wafa hi raha rah ke be-wafaon mein gul-e-bahaar ki surat khila khizaon mein bhari bahaar mein dekhe jo phul jalte hue ruke na ashkon ke dariya meri ghataon mein hamare hathon se jab waqt ki girah na khuli to log samjhe ki hum khush hain ibtilaon mein tere huzur rahi qahqahon pe pabandi raha hai khauf bhi raqsan meri sadaon mein karo na sari mukaddar faza jahan walo mere bhi hisse ki sansen hain in hawaon mein khulus ki na chali ek bhi yahan 'ashraf' ganwaya waqt abas hum ne iltijaon mein