aap ka intizar rahta hai dil bahut be-qarar rahta hai ye sifat hai sharab-e-ulfat mein zindagi bhar khumar rahta hai kuchh khabar bhi hai tere kuche mein koi umid-war rahta hai aap ke dar pe raat din hazir aap ka jaan-nisar rahta hai haal-e-dil ishq mein nahin chhupta shakl se aashkar rahta hai dil mera kyon na rashk-e-jannat ho is mein koi nigar rahta hai zindagi se to bhar gaya hai dil maut ka intizar rahta hai chaar hoti hain un se jab nazren dil pe kab ikhtiyar rahta hai jis ko pas-e-zaban nahin hota sab ki nazron mein khar rahta hai dil kahan phenk dun kise de dun ye bahut be-qarar rahta hai yaad hai wo nigah-e-mast ab tak be-piye hi khumar rahta hai phir kisi ke firaq mein 'hajir' raat din ashk-bar rahta hai