khushi se khel gae hum qaza ke daman par ki harf aane na pae wafa ke daman par hamare khun ke qatre gira ke daman par ek aur dagh lagaya wafa ke daman par ilahi aisi ghata mai-kade mein chha jae ki tauba tute meri parsa ke daman par qudum-e-naz ka ehsan pas-e-fana bhi raha udai khak-e-lahad bhi hawa ke daman par bhala mitae se mitta bhi hai nishan us ka hazar khak wo dalen wafa ke daman par na bach saka hai koi aur na bach sakega koi hai qabza maut ka shah-o-gada ke daman par mere karim ne aisa mujhe nawaz diya machal rahi hai ijabat dua ke daman par tere karam ne banaya hamari bigdi ko wagarna dagh the lakhon khata ke daman par 'shafia' jama-e-hasti bhi tar-tar kiya junun ne hath ko apne badha ke daman par