aap kahte hain ki be-kar lahu rote hain hum to samjhe the samajhdar lahu rote hain har dafa tum bhi tasawwur mein chale aate ho hum bhi phir tut ke har bar lahu rote hain is se pahle ki nigal jae mujhe bechaini aa kahin baith ke gham-khwar lahu rote hain surkh aankhon ka sabab kya hai bataen tum ko dard hota hai bahut yar lahu rote hain is kahani ka naya mod hai mera marna kyon kahani ke ye kirdar lahu rote hain dad dete hain jinhen aap khushi se uth kar fan ke parde mein ye fankar lahu rote hain ye bhi kaisa hi ajab scene hai jis mein mil kar sare ke sare adakar lahu rote hain