nazren jo us tannaz ki hum par thahar gain kaliyan hamare hath se do chaar gir gain marne ke ba'd aur bhi kuchh sanahe hue sadken meri aziz kitabon se bhar gain kuchh gir pade zamin pe kuchh nim-jaan hue aankhen hamare yar ki kya kya na kar gain lai hai aise mod pa ye zindagi hamein jaane hazaron khwahishen rahon mein mar gain us shokh dil-fareb ki aankhen bhi hain fareb ghayal dilon mein dub ke kis kis ke ghar gain jaise hi paen bagh mein us ne kiya khiram bechain titliyan bhi idhar se udhar gain 'barham' rumuz-e-ishq na hum par kabhi khule kya kya qayamaten thin jo dil par guzar gain