jald-az-jald bichhad jaun dua de mujh ko yahi behtar hai tere haq mein bhula de mujh ko har koi sabr ki talqin kiya karta hai kaise karte hain koi ye bhi bata de mujh ko main hun sadiyon se bhatakta hua pyasa dariya ai khuda kuchh to samundar ke siwa de mujh ko mujh sa diwana nahin sab ko mayassar pyare ab teri marzi hai chahe to ganwa de mujh ko is se pahle ki khamoshi mujhe pagal kar de us se kahiyo ki zara aa ke rula de mujh ko in dinon dost mere sare hi ruthe hue hain mere dushman yahi mauqa hai hara de mujh ko