aap ke izn-e-mulaqat se ji darta hai apne badle hue haalat se ji darta hai aap tajdid-e-mohabbat ka na dije paigham aap ki chashm-e-inayat se ji darta hai kal ye aalam tha ki har baat pe hans dete the ab ye aalam hai ki har baat se ji darta hai ham-nashino zara kuchh der mere sath raho aaj tanhai ke lamhat se ji darta hai dil mein jab sozish-e-gham aag laga deti hai chashm-e-afsurda ki barsat se ji darta hai chahta hun ki ye dil shahr-e-nigaran ho magar itni rangini-e-jazbaat se ji darta hai zakhm kuchh aur sulag jate hain dal ke 'shahid' ab to is taron bhari raat se ji darta hai