kya kahiye rah-e-shauq ko kis tarah sar kiya hum ne safar fazaon mein be-baal-o-par kiya zulf us ki ho rahi thi pareshan hawaon mein hum ye samajh rahe the dua ne asar kiya puchho na kis tarah se guzari hai zindagi maddham se ek diye ne hawa mein safar kiya 'fakhir' guzar rahe hain hum is daur se yahan jis ne mohabbaton ko bhi marhun-e-zar kiya