meri judai mein aansu bahae jate hain ye fitna meri lahad par jagae jate hain ziya-e-husn ko dargah-e-dil tarasti hai charagh dair-o-haram mein jalae jate hain nahin satate kisi ko bhi jo zamane mein wahi zamane mein akasr satae jate hain ziya-e-husn se hota hai jin ka dil mamur charagh gor par un ki jalae jate hain fasanon se nahin bantin haqiqaten lekin haqiqaton se fasane banae jate hain kahin ghurur takabbur kahin futur-e-khudi hamari rah mein rahzan bithae jate hain adab ki mahfil-e-rangin mein raat-din 'farigh' mere fasane hi akasr sunae jate hain