aap ki chashm-e-inayat kabhi aisi to na thi

aap ki chashm-e-inayat kabhi aisi to na thi
aur taghaful pe nadamat kabhi aisi to na thi

yaad aata hun main kyon tark-e-talluq par bhi
mehrban mujh se mohabbat kabhi aisi to na thi

aap ke lutf-o-karam ki main tamanna karta
gham-o-alam se fursat kabhi aisi to na thi

zahe qismat rasan-o-dar ke laeq thahra
apni hum chashmon mein izzat kabhi aisi to na thi

tere aariz ka hai ye aks ki aaghaz-e-bahaar
apne gulshan ki latafat kabhi aisi to na thi

apni barbaad-e-mohabbat pe tahayyur kaisa
un se ummid-e-rifaqat kabhi aisi to na thi

ashk kyon dhalte nahin aankhon se barson 'manzar'
mere daman ko shikayat kabhi aisi to na thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close