ye meri aankhon ki sozish ko dekh dard samajh safed baalon ko mere safar ki gard samajh kuchh aise qaede hain ki badal nahin jin ka tu nile aasman ko ek lamha zard samajh na puchh hum pe guzarti hai hijr mein kya dost kaleja aawe hai munh ko badan ko sard samajh jise bulate hain kam-kam hi sare ghar wale mujhe tu mere gharane ka wo hi fard samajh ab aisa masala hai tera hona mere liye ki jaise be-wajh hota hai sar mein dard samajh