jahan-e-khair-o-shar se uth ke kya jaane kahan jate koi jannat agar hoti to farzane kahan jate kashish dasht-e-junun ki ain fitrat hi sahi lekin dam-e-arz-e-tamanna tere diwane kahan jate ye bazm-e-mai nahin hai balki ek aaina-khana hai use tum chhod kar zulfon ko suljhane kahan jate khalish jab aarzu ki mit nahin sakti to aise mein sukun-e-qalb ki khatir ye diwane kahan jate nigah-e-mast se be-khud kiya hum ko magar socha hamare hath se chhut kar ye paimane kahan jate nahin malum kis ke sang-e-dar par hai pada 'manzar' janab-e-shaikh farmaen ki samjhane kahan jate