aap ki nazar-e-inayat ho gai zindagi marhun-e-minnat ho gai mil gae do dil mohabbat ho gai baat bas itni qayamat ho gai kyon fuzun-tar aaj wahshat ho gai kya kisi manzil se qurbat ho gai aap hum par multafit kya ho gae hum se duniya ko adawat ho gai ho gae kya kya fasane sar-buland sar-nigun sari haqiqat ho gai aap ne gham de diya kya kam diya chaar din jine ki surat ho gai nam un ka jab zaban par aa gaya yun bhi goya ek ibaadat ho gai ho gai jab bhi jahaalat muqtadir dar-ba-dar 'amir' farasat ho gai