dekh kar baam-o-dar ka sannata bol uthta hai ghar ka sannata ai mohabbat ek aakhiri aawaz phir to hai umr bhar ka sannata koi surat na koi aaina didani hai nazar ka sannata likh rahi hai sahar ke mathe par raat apne safar ka sannata kya yahi hai udan ka mausam aam hai baal-o-par ka sannata kis ko aawaz de musafir-e-gham be-jahat hai safar ka sannata aasman par hai aakhiri tara dam-ba-khud hai sahar ka sannata ho na ho koi aane wala hai kah raha hai ye ghar ka sannata chap qadmon ki bhi nahin hai 'ziya' hum hain aur rahguzar ka sannata