dil pe wo waqt bhi kis darja giran hota hai zabt jab dakhil-e-fariyaad-o-fughan hota hai kaise batlaen ki wo dard kahan hota hai khun ban kar jo rag-o-pai mein rawan hota hai ishq hi kab hai jo manus-e-zaban hota hai dard hi kab hai jo mohtaj-e-bayan hota hai jitni jitni sitam-e-yar se khata hai shikast dil jawan aur jawan aur jawan hota hai wah kya chiz hai ye shiddat-e-rabt-e-baham bar-ha khud pe mujhe tera guman hota hai kitni pamal umangon ka hai madfan mat puchh wo tabassum jo haqiqat mein fughan hota hai ishq sar-ta-ba-qadam aatish-e-sozan hai magar us mein shola na sharara na dhuan hota hai kya ye insaf hai ai khaliq-e-subh-e-gulshan koi hansta hai koi girya-kunan hota hai gham ki badhti hui yurish se na ghabra 'amir' gham bhi ek manzil-e-rahat ka nishan hota hai