aap ki nazron mein shayad is liye achchha hun main dekhta sunta hun sab kuchh phir bhi chup rahta hun main is liye mujh se khafa rahti hai aksar ye zamin aasman ko sar pe le kar ghumta phirta hun main khak mein milna hi ashkon ka muqaddar hai magar kya ye kam hai us ki palkon par abhi thahra hun main khar hi ko ho mubarak khar ki umr-e-daraaz gul-sifat hun bas jawan hote hi mar jata hun main baadalon ko shayad is ka koi andaza nahin ain dariya mein hun lekin kis qadar pyasa hun main gham-zada dil ko sitam se dur rakhne ke liye barha khud apne hi dil par sitam dhata hun main kyun wo mere samne aane se darta hai 'wali' khamushi fitrat hai meri ek aaina hun main