khayal dil ko hai us gul se aashnai ka nahin saba ko hai dawa jahan-rasai ka kahin wo kasrat-e-ushshaq se ghamand mein aa darun hun main ki na dawa kare khudai ka mujhe to dho ke tha zahid par ek nigah se aaj ghurur kya hua wo teri parsai ka jahan mein dil na lagane ka lewe phir koi nam bayan karun main agar teri bewafai ka na chhoda mar bhi kha kar guzar gali ka teri raqib ko mere dawa hai be-hayai ka nahin khayal mein late wo saltanat jam ki ghurur hai jinhen dar ki tere gadai ka jafa-e-yar se mat 'ishtiyaq' pher ke munh khayal kijo kahin aur jubba-sai ka