abhi to hausla-e-karobar baqi hai ye kam ki aamad-e-fasl-e-bahaar baqi hai abhi to shahr ke khandaron mein jhankna hai mujhe ye dekhna bhi to hai koi yar baqi hai abhi to kanton bhare dasht ki karo baaten abhi to jaib o gareban mein tar baqi hai abhi to katna hai teshon se chattanon ko abhi to marhala-e-kohsar baqi hai abhi to jhelna hai sanglakh chashmon ko abhi to silsila-e-ab-shaar baqi hai abhi to dhundni hain rah mein kamin-gahen abhi to marka-e-gir-o-dar baqi hai abhi na saya-e-diwar ki talash karo abhi to shiddat-e-nisfun-nahaar baqi hai abhi to lena hai hum ko hisab-e-shahr-e-qital abhi to khun-e-gulu ka shumar baqi hai abhi yahan to shafaq-gun koi ufuq hi nahin abhi tasadum-e-lail-o-nahaar baqi hai ye hum ko chhod ke tanha kahan chale 'wamiq' abhi to manzil-e-meraj-e-dar baqi hai