aap samjhen to hamare ishq ki rudad bhi dastan-e-sis bhi hai qissa-e-farhad bhi dil mein lakhon aarzuen hain hazaron hasraten ye wo basti hai jo hai barbaad bhi aabaad bhi shukriya ai gardish-e-ayyam tere faiz se gulsitan bhi hum ne dekha khana-e-sayyaad bhi un ka banda ho ke bhi hai pas-e-khuddari mujhe main asir-e-ishq bhi hun aur hun aazad bhi ab badal jae mizaj-e-husn bhi to kya ajab rahat-e-jaan hoti jati hai kisi ki yaad bhi ras aai hai kahan mujh ko faza-e-gulsitan bad-guman hai baghban bhi aur hai sayyaad bhi har tarah dilchasp-o-dilkash tha fasana ishq ka dad ke qabil hai lekin husn ki rudad bhi