bahaar aane pe gulshan mein ajab ye majra hoga koi daman gulon se koi kanton se bhara hoga ba-roz-e-hashr jab us se hamara samna hoga hum us ko dekhte honge wo hum ko dekhta hoga unhin ko haq hai jine ka jo marne se na ghabraen jo jine se bhi ghabraen wo mar jaen to kya hoga tujhe apna kahun ghairon ki mahfil mein ye na-mumkin kabhi han be-khudi mein main ne aisa kah diya hoga tera hi nam hai lab par tera hi dhyan hai dil mein khuda kah dun tujhe hamdam to kya ye narawa hoga na aana ho to khwabon mein bhi aap aaen na ab hargiz kisi furqat ke mare par karam ye aap ka hoga mera hona na hona hai tumhaari bazm mein yaksan na tha to tum ko kya gham tha na hunga main to kya hoga muqaddar to muqaddar hai sar-e-taslim kham kar de bura hoga bhala hoga teri koshish se kya hoga hamein bhi dekh len ek din kabhi wo mehrban ho kar hamari zindagi mein 'sehr' kya ye moajiza hoga