aap to ghabra gae betabi-e-dil dekh kar kya kahenge banda-parwar ahl-e-mahfil dekh kar main to hun parda-e-aghosh-e-tufan-e-fana khud dubo deta hun kashti qurb sahil dekh kar ek nigah-e-lutf ki muhtaj hai tamir-e-ishq aap kyun ghabra gae tuta hua dil dekh kar wo bhi 'nakhshab' be-khudi-e-dil se aasan ho gaya dard jo bakhsha gaya tha hum ko mushkil dekh kar