meri raaton ka safar tur nahin ho sakta tu na chahe to bayan nur nahin ho sakta main ne hijrat ke kai daur kade dekhe hain main kitabon se kabhi dur nahin ho sakta meri fitrat ki main khil jata hun be-mausam bhi meri aadat ki main majbur nahin ho sakta tu ne kis shauq se likkha hai taaruf mera main kisi lafz mein mahsur nahin ho sakta mere andar bhi tere nam ki chingari hai tu mere waste kyun tur nahin ho sakta jo yahan lafz ki sarhad ke udhar rahta hai bastiyon mein kabhi mashhur nahin ho sakta zinda insan use aabaad kiya karte hain ghar kisi khwab se mamur nahin ho sakta ghar ke bahar sabhi lafzon ke tamashai hain ghar ke andar koi masrur nahin ho sakta jism ke sare taqaze hain adhure 'ahmad' ye tasawwur kabhi bharpur nahin ho sakta