aapas mein koi rabt ka imkan bhi na tha donon taraf ye marhala aasan bhi na tha chaaragaron ki pursish-e-paiham ke bawajud main mutmain na tha to pareshan bhi na tha pahlu badal badal ke wo karta tha guftugu main sab samajh raha tha ki anjaan bhi na tha baat us ki dil mein mere utarti chali gai wo ajnabi tha aur mera mehman bhi na tha kyun mujh ko mezbani ka mauqa na mil saka main is qadar to be-sar-o-saman bhi na tha wo kitna sard-mehr tha malum ho gaya wada-khilaf ho ke pasheman bhi na tha 'kausar' amir-e-shahr se milne mein uzr kyun kuchh faeda nahin tha to nuqsan bhi na tha