har-su dhuen ka raqs hai aaj apne ganw mein jalte lahu ki bu hai sisakti hawaon mein manzar ko dekhte hi wo behosh ho gaya jhanka jo us ne ruh ki andhi guphaon mein bistar pe pichhli raat ajab majra hua aankhen thin band udta raha main khalaon mein sahil ki ret par main khada sochta raha uljha tha mera zehn nadi ki hawaon mein yun to musafiron ki nahin hai kami yahan thahra nahin magar koi dil ki saraon mein