aap ko mujh se khafa mujh se khafa dekhta hun phutti kyun nahin aankhen meri kya dekhta hun roz is ruh ki viraniyan khil uthti hain roz is dasht mein ek aabla-pa dekhta hun gul khilate hain naya roz ye rishte-nate roz hi khun ka ek rang naya dekhta hun ek sach ye hai jo duniya ko baratne pe khula ek sach wo jo kitabon mein likha dekhta hun aap hain sab se jo az-rah-e-zarurat hi mile aur main aap mein bhi khu-e-wafa dekhta hun aankh bhar kar main jise dekh na paya tha 'nadim' khud ko us khwab ke malbe mein daba dekhta hun