muqarrar waqt se pahle samajhdari nahin aati na aani ho kisi ko gar to fankari nahin aati jhukana sikhna padta hai sar logon ke qadmon mein yunhi jamhuriyat mein hath sardari nahin aati chalate hain agar talwar ye to kya tajjub hai karenge aur kya jin ko qalam-kari nahin aati siyasi aandhiyon se aag lagni ghair-mumkin thi kahin se ud ke mazhab ki jo chingari nahin aati kyun badhti ja rahi hai bhuk daulat ki zamane mein tabibon ki samajh ek ye bhi bimari nahin aati sabhi se hum adab se aur hans ke baat karte hain hamein is se ziyaada bas adakari nahin aati bujhana bhul jaen kaise jalti battiyan ghar ki hamare ghar ai hakim bijli sarkari nahin aati teri bebakiyan 'jaanib' yahi tasdiq karti hain har ek insan ko duniya mein hushyari nahin aati