samne ek kitab adh-khuli aur main be-sabab shama jalti hui aur main be-sada ek naghme ke hain muntazir daf bajati hui khamushi aur main waqt ki kokh ka bar-mahal saneha ye jahan muztarib zindagi aur main kuchh parind aasman se utarte hue lutf-andoz jin se nadi aur main waqt ki shakh par khushnuma phul the wo gali husn ki sadgi aur main gardish-e-rang-o-bu mishalen aur tu be-karan ek khala tirgi aur main jism dhansne laga raat ki qabr mein phir wahi khwab ki aagahi aur main jism par reng uthin be-badan chitiyan phir wahi dhup si chandni aur main