qisse meri aashufta-nawai ke bahut the charche teri angusht-numai ke bahut the duniya ki talab hi se na fursat hui warna arman tere dar ki gadai ke bahut the kuchh dil hi na mail hua is rah pe warna saman to jannat ki kamai ke bahut the kal shab mere kirdar pe tanqid ki shab thi kirdar mein pahlu bhi burai ke bahut the aazar ki khaslat bhi thi logon mein numayan kuchh shauq bhi is dil ko bhalai ke bahut the ab sath nahin hai bhi to shikwa nahin 'akhtar' ehsan bhi mujh par mere bhai ke bahut the