'arif' azal se tera amal mominana tha han gham ye tha ki fikr ka dhab kafirana tha tu mujh se dur rah ke bhi mere qarib tha har chand tu khuda ki tarah tha khuda na tha tanhai-e-basit ka wo ahd yaad kar jab tere pas koi bhi tere siwa na tha tha e'timad-e-husn se tu is qadar tahi aaina dekhne ka tujhe hausla na tha main ne kiya hai tujh ko tere ru-ba-ru magar khinch jaega mujhi se tu mujh ko pata na tha bakhsha hai tu ne meri wafa ko khud apna rang warna meri nigah mein koi sila na tha umr-e-aziz ra-nawardi mein kat gai manzil ne di khabar ki musafir chala na tha aai hai gulsitan se meri samt kis liye jab nama mere nam koi ai saba na tha kunj-e-qafas mein sar-ba-gareban pada hun main 'arif' chaman mein koi mera ham-nawa na tha