alfaz ke patthar kya phenke gae pani mein tufan sa barpa hai dariya-e-maani mein khushiyon ke fasane hi dohrae nahin jate hain ranj ke chhinte bhi ghar ghar ki kahani mein jadu hi ghazab ka tha aks-e-rukh-e-zeba ka kyun aag na lag jati bahte hue pani mein donon hi qabilon ne paiman-e-wafa bandhe laut aai wafa phir se har dushman-e-jaani mein tarsil tamaddun ki hoti bhi to phir kaise akhlaq na hota gar tahzib ke bani mein misre pe tere 'arif' misra jo hua chaspan khushbu si utar aai har ula-o-sani mein