abr baadal hai aur sahab ghata jis ki hum dekhte hain aaj bahaar kis ko baran ne tazgi bakhshi zara kheti hai aur darakht ashjar kaun si ja hai sair ke qabil bagh rauza hadiqa aur gulzar ab gharibon ko ho gai taskin jo ki lete the qarz-o-wam udhaar qaht hai kal aur gadai bhik jis ke meinh ne mita diye aasar ju nadi aab-gir hai talab meinh jo barsa to bhar gae yak-bar nirkh hai bhaw aur ghalla anaj sasta arzan hai suq hai bazar mardum-o-admi bashar insan fazl-e-bari ke sab hain shukr-guzar hain kushawarz kast-kar kisan khushk-sali se the bahut na-chaar meinh barasta raha kai din raat roz-o-shab subh-o-sham lail-o-nahaar qatra hai bund aur meinh baran aab pani hai aur bahut bisyar bunda-bandi yahi tarashshoh hai jaise hai aaj nannhi nannhi phuwar kali kali ghata hai abr-e-siyah jo ki barsa rahi hai ye bauchhaar saya hai chhanw aaftab hai dhup dekh aaj dhup chhanw ki ye bahaar