aariz jabin zulf-e-moambar mein aag hai ye husn hai ki husn ke paikar mein aag hai us aaftab-ru ko take chashm-e-ishtiyaq allah khair aag ke chakkar mein aag hai bikhre hain khwab mein koi bikhra abhi kahan zinda hun main abhi mere shah-par mein aag hai pas-e-wafa tha is liye kashti utar di malum tha hamein ki samundar mein aag hai hadd-e-nigah phaile ujalon ka ye guman meri nazar hai aag ki manzar mein aag hai dil ki lagi bujhae kahan ja ke ab junun aansu hain aag baada-o-saghar mein aag hai jalti nigah sulagta jigar zehn-o-dil dhuan kya kijiye ki apne muqaddar mein aag hai