aariz ki tab saya-e-gesu ghazal mein hai

aariz ki tab saya-e-gesu ghazal mein hai
yani ki dhup chhanw ka jadu ghazal mein hai

bazm-e-sukhan na puchh moattar hai kis liye
gulha-e-ranga-rang ki khushbu ghazal mein hai

sakta qubul qafiya paimai ko nahin
be-wazn hona mat ki taraazu ghazal mein hai

karta hun tere zikr se arz apni baat main
kab koi imtiyaz-e-man-o-tu ghazal mein hai

har ek ghazal hai mir taqi 'mir' aadatan
ho ya na ho hansi magar aansu ghazal mein hai

kahiye tamam shaeri ki aabru use
tarz-e-bayan kuchh aur hi urdu ghazal mein hai

aurat se guftugu ko nahin tul dijiye
ijaz-o-ikhtisar ka pahlu ghazal mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close