ek tahi-dast se kya kya tan-e-fani mange

ek tahi-dast se kya kya tan-e-fani mange
saya-e-zist mein hai naql-e-makani mange

paikar-e-naz se dil iza-rasani mange
aql hairan hai ye kaisi girani mange

aarzu meri abhi misr ke bazar mein hai
ye zulekha na kahin yusuf-e-sani mange

aur kuchh mujh ko dikhai na pade aisa nahin
han meri aankh faqat jalwa-e-jaani mange

aasman surkh hua garm nadi sukhi hui
tishna mausam hai mere jism se pani mange

'badr' aasan nahin shair ka ghazal-khwan hona
ye nahin jadu magar jadu-bayani mange


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close