aarzu aabaad hai bikhre khandar ke aas pas dard ki dahliz par gard-e-safar ke aas pas khar ki har nok ko majruh kar dene ke baad laut jaana hai mujhe barg-o-samar ke aas pas didani hain chahaton ki narm-o-nazuk laghzishen gardish-e-ayyam mein sham-o-sahar ke aas pas dur ek khamosh basti ki gali mein dekhna hai tamanna mutmain makhdush ghar ke aas pas chha gai tufan ke honton pe shaitani hansi dekh kar kashti shikasta si bhanwar ke aas pas jab koi raushan nishan milta nahin hai dhund mein dhundhta hun naqsh-e-pa rah-e-guzar ke aas pas phul patton ki faza se saj gai duniya mari hai kahan arman mera lal-o-guhar ke aas pas be-niyazi waqt se mujh mein na qaem ho saki main sada hazir raha taza khabar ke aas pas kucha-e-dildar ka rangin zamana 'sahni' aaj bhi aabaad hai zakhm-e-jigar ke aas pas