khalish-o-soz dil-figar hi di dil mein shamshir aab-dar hi di bewafa se muamle ke liye ek tabiat wafa-shiar hi di kaifiyat dil ki byan karne ko ek aawaz dil-figar hi di khar ko to zaban-e-gul bakhshi gul ko lekin zaban-e-khar hi di dil shab-e-zinda-dar hum ko diya husn ko chashm-e-pur-khumar hi di khud raqibon ke waste main ne zulf mashuq ki sanwar hi di kya nasheb-o-faraaz thi 'tanwir' zindagi aap ne guzar hi di