chashm o lab kaise hon rukhsar hon kaise tere hum khayalon mein banate rahe naqshe tere tere sawant ko suli ki zaban chat gai jism abhi garm tha aur baal the gile tere kya kahun kya tere afsurda dilon par guzri kaise taraj hue aaina-khane tere ab kahan dekhne walon ko yaqin aaega bagh-e-jannat tha badan khwab the bose tere