aarzu-e-dil-e-nakaam se dar lagta hai zindagani tere paigham se dar lagta hai phir kisi jazba-e-gum-nam se dar lagta hai husn-e-masum pe ilzam se dar lagta hai shisha-e-dil pe koi thes na lagne pae talkhi-e-mai se nahin jam se dar lagta hai jis ko aaghaz-e-mohabbat ka nahin hai ehsas bas use ishq ke anjam se dar lagta hai waqt ke sath badal jati hain qadren hamdam rah-e-pur-khar mein aaram se dar lagta hai jis ne tufan-e-bala-khez ka munh tod diya kyun use gardish-e-ayyam se dar lagta hai dekh kar qasr-e-tamanna ki tabahi shayad gulshan-e-dil ke dar-o-baam se dar lagta hai mehr-e-taban ki qasam gesu-e-jaanan ki qasam subh-e-nau tujh se nahin sham se dar lagta hai sirf allah se darti hai 'aziz'-e-khasta kya use talkhi-e-ayyam se dar lagta hai