baqa sadaf ki guhar ke siwa kuchh aur nahin wafa shuur-e-bashar ke siwa kuchh aur nahin ghalat ghalat ki mohabbat fareb-e-hasti hai ye rabt-e-khas asar ke siwa kuchh aur nahin shua-e-mehr-e-munawwar main mah-e-taban main kisi ki pahli nazar ke siwa kuchh aur nahin abhi junun ko guzarna hai shah-rahon se junun ki had tere dar ke siwa kuchh aur nahin wo sham-e-gham jo teri zindagi ka hasil hai wo sham nur-e-sahar ke siwa kuchh aur nahin yahi nizam-e-jahan hai yahi hai raaz-e-baqa samar hayat-e-shajar ke siwa kuchh aur nahin tujhe khirad se hai nisbat hamein 'aziz' junun ba-qadr-e-zarf nazar ke siwa kuchh aur nahin