phul jo dil ki rahguzar mein hai jaane kis ke wo intizar mein hai fikr bhi lutf-e-intizar mein hai be-qarari bhi kuchh qarar mein hai zindagi tujh se kya umid rakhun tu kahan mere ikhtiyar mein hai apna dushman hai ye jahan sara kitni taqat hamare pyar mein hai koi harakat nahin hai dali mein kya parinde ke intizar mein hai kar sako to use karo mahsus ek lazzat jo nok-e-khar mein hai wo jo aage tha jaan-nisaron mein sab se pichhe wahi qatar mein hai dhul bhi mo'atabar hai raste ki karwan ka nishan ghubar mein hai amn aur aashti se us ko kya us ka maqsad to intishaar mein hai dard to ungliyon se milta hai warna aawaz to sitar mein hai kal bhi wo mera muntazir tha 'aziz' aaj bhi mere intizar mein hai