aarzu-e-visal kya karte hum se koi sawal kya karte lamha lamha hai be-qarar ye dil aise dil ki sanbhaal kya karte jo na apna khayal kar pae wo kisi ka khayal kya karte jin ko shikwa nahin kisi se bhi log aise malal kya karte un ki baaton mein aae ai 'alam' apna jina muhaal kya karte