jis mein na ho sukun nasib aise jahan ko kya karun rahat-e-dil na ho jahan aise makan ko kya karun subh nasim ki jagah baad-e-sumum tund-o-tez gul ke bajae khar hain bagh-e-jahan ko kya karun wade hazar-ha kiye rahbar-e-qaum ne magar wada koi wafa nahin aisi zaban ko kya karun tuti-e-gul-ada nahin bulbul-e-khush-nawa nahin kargas-o-zagh hon jahan aise jahan ko kya karun wada pe ji raha hun main nak mein aa gaya hai dam zahiri gham ko kya karun soz-e-nihan ko kya karun jitne bhi khas-o-am hain zar ke sabhi ghulam hain kya kahun mir-e-waqt ko pir-e-mughan ko kya karun bar-sar-e-manzil-e-murad dhoke diye hain qaum ko ye to batao fitrat-e-rahbaran ko kya karun