aarzu ek nadi ho jaise zindagi tishna-labi ho jaise ye jawani teri chahat ke baghair mahz ek jam-e-tahi ho jaise kal hi bichhde the magar lagta hai ek sadi bit gai ho jaise umr-bhar qarz chukaya is ka zist banne ki bahi ho jaise fasl chandi ki ugana sar par waqt ki jadugari ho jaise zulm sah kar bhi hai khilqat khamosh mohr honton pe lagi ho jaise har taraf maut ka sannata hai shahr par sadh sati ho jaise yun hai ek mod par hairan si hayat rasta bhul gai ho jaise padh ke tarikh ko yun lagta hai ye mazalim ki sada ho jaise rakh ka dher hai ab hasrat-e-dil ek dulhan jal ke mari ho jaise sher kahta hun saliqe se 'shabab' ye bhi aaina-gari ho jaise